aap ki bazm mein sab baDe hain
aap kī bazm meñ sab baḌe haiñ
sab kī ḳhil'at pe taare jaḌe haiñ
jab uThegī nazar us taraf to
dekhnā haath bāñdhe khaḌe haiñ
mutma.in se nazar aa rahe haiñ
ġhāliban phir vo ḳhud se laḌe haiñ
sar jhukā kar na dekhā kabhī bhī
raah meñ muddatoñ se paḌe haiñ
aap gar qasr meñ rahte haiñ to
ham ġharīboñ ke bhī jhoñpaḌe haiñ
ho ga.ī zaḳhm bharne kī ummīd
phir se peḌoñ ke patte jhaḌe haiñ
ḳhār-e-lab-tishna ko un kī hai aas
jin ke paañv meñ chhāle paḌe haiñ
aap ki bazm mein sab baDe hain
sab ki KHil'at pe tare jaDe hain
jab uThegi nazar us taraf to
dekhna hath bandhe khaDe hain
mutmain se nazar aa rahe hain
ghaaliban phir wo KHud se laDe hain
sar jhuka kar na dekha kabhi bhi
rah mein muddaton se paDe hain
aap gar qasr mein rahte hain to
hum gharibon ke bhi jhonpaDe hain
ho gai zaKHm bharne ki ummid
phir se peDon ke patte jhaDe hain
KHar-e-lab-tishna ko un ki hai aas
jin ke panw mein chhaale paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.