aap ki had talash karte hain
aap kī had talāsh karte haiñ
apnā dil pāsh-pāsh karte haiñ
pattharoñ ko tarāsh kar kyoñ log
devtā ko talāsh karte haiñ
sham.a kī lau meñ kuchh kamī hai kyā
kyoñ patange nirāsh karte haiñ
jānte haiñ na vaqt lauTegā
phir bhī ham kaash kaash karte haiñ
ham to luuDo hī khelte haiñ janāb
aap kyoñ taash taash karte haiñ
shahr meñ pattharoñ ke muddat se
aa.ine ham talāsh karte haiñ
aane vaalā hai koī phāgun sā
aa.iye ghar palāsh karte haiñ
aap ki had talash karte hain
apna dil pash-pash karte hain
pattharon ko tarash kar kyon log
dewta ko talash karte hain
shama ki lau mein kuchh kami hai kya
kyon patange nirash karte hain
jaante hain na waqt lauTega
phir bhi hum kash kash karte hain
hum to luDo hi khelte hain janab
aap kyon tash tash karte hain
shahr mein pattharon ke muddat se
aaine hum talash karte hain
aane wala hai koi phagun sa
aaiye ghar palash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.