aap ki hamdardiyan kab chahiyen miskin ko
aap kī hamdardiyāñ kab chāhiyeñ miskīn ko
hausla dene chale haiñ aap jo ġhamgīn ko
koī bhī aayā nahīñ thā ḳhvāb kī tadfīn ko
kuchh na kuchh īsāl hī kar dil ke marhūmīn ko
hāfize ko chhāñT jo yādeñ thiiñ ḳhushiyoñ kā sabab
yaad rakh paa.eñ faqat ham bas unhī do tiin ko
merā chehra miT bhī jaa.e gar to kyā ho jā.egā
aur bhī chehre haiñ us kī aañkh kī taskīn ko
aag kā dariyā kahā thā jis kisī ne 'ishq ko
yaad rakhte kaash ham daanā kī is talqīn ko
aap ki hamdardiyan kab chahiyen miskin ko
hausla dene chale hain aap jo ghamgin ko
koi bhi aaya nahin tha KHwab ki tadfin ko
kuchh na kuchh isal hi kar dil ke marhumin ko
hafize ko chhanT jo yaaden thin KHushiyon ka sabab
yaad rakh paen faqat hum bas unhi do tin ko
mera chehra miT bhi jae gar to kya ho jaega
aur bhi chehre hain us ki aankh ki taskin ko
aag ka dariya kaha tha jis kisi ne 'ishq ko
yaad rakhte kash hum dana ki is talqin ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.