aap ki or ek nazar dekha
aap kī or ik nazar dekhā
phir na ham ne idhar-udhar dekhā
is jahāñ meñ jahāñ jidhar dekhā
ham ne bechain har bashar dekhā
ḳhuub ro.e lipaT ke ham us se
ek tanhā sā jo shajar dekhā
kul ḳhudā.ī huī fidā jis par
ham ne ik but meñ vo hunar dekhā
ab bhī hasrat hai dekhne kī use
ek chehra jo 'umr-bhar dekhā
dard bhūlā judā.ī kā apnā
chhat pe tanhā jo kal qamar dekhā
ḳhvāb tā'bīr DhūñDne nikle
ujḌā ujḌā har ik nagar dekhā
laakh uTThe haiñ valvale dil meñ
ik nazar kā tirī asar dekhā
ab kisī se gila nahīñ hai 'sadā'
dil meñ jab se hai jhāñk kar dekhā
aap ki or ek nazar dekha
phir na hum ne idhar-udhar dekha
is jahan mein jahan jidhar dekha
hum ne bechain har bashar dekha
KHub roe lipaT ke hum us se
ek tanha sa jo shajar dekha
kul KHudai hui fida jis par
hum ne ek but mein wo hunar dekha
ab bhi hasrat hai dekhne ki use
ek chehra jo 'umr-bhar dekha
dard bhula judai ka apna
chhat pe tanha jo kal qamar dekha
KHwab ta'bir DhunDne nikle
ujDa ujDa har ek nagar dekha
lakh uTThe hain walwale dil mein
ek nazar ka teri asar dekha
ab kisi se gila nahin hai 'sada'
dil mein jab se hai jhank kar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.