aap ki shoala-sifat zat ki yaad aati hai
aap kī sho.ala-sifat zaat kī yaad aatī hai
garmī-e-qurb kī har baat kī yaad aatī hai
apne biphre hue jazbāt kī yaad aatī hai
ek aaseb ko khañDarāt kī yaad aatī hai
un se rātoñ meñ mulāqāt kī yaad aatī hai
shahr meñ gaañv ke bāġhāt kī yaad aatī hai
jab kisī hijr-zada raat kī yaad aatī hai
dil pe guzre hue sadmāt kī yaad aatī hai
maiñ sarā.e kā musāfir thā chalā bhī aaya
par tire saath ke lamhāt kī yaad aatī hai
jab bhī vo gumbad-o-mīnār nazar aate haiñ
sabz poshāk ke sādāt kī yaad aatī hai
giit ruḳhsat ke alamnāk sadā.eñ 'vasfī'
gasht kartī huī bārāt kī yaad aatī hai
aap ki shoala-sifat zat ki yaad aati hai
garmi-e-qurb ki har baat ki yaad aati hai
apne biphre hue jazbaat ki yaad aati hai
ek aaseb ko khanDaraat ki yaad aati hai
un se raaton mein mulaqat ki yaad aati hai
shahr mein ganw ke baghat ki yaad aati hai
jab kisi hijr-zada raat ki yaad aati hai
dil pe guzre hue sadmat ki yaad aati hai
main sarae ka musafir tha chala bhi aaya
par tere sath ke lamhat ki yaad aati hai
jab bhi wo gumbad-o-minar nazar aate hain
sabz poshak ke sadat ki yaad aati hai
git ruKHsat ke alamnak sadaen 'wasfi'
gasht karti hui baraat ki yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.