aap ki shoKHi-e-inkar nai baat nahin
aap kī shoḳhī-e-inkār na.ī baat nahīñ
ye to mā'mūl hai sarkār na.ī baat nahīñ
aap ko ḳhūn-e-tamannā pe ta'ajjub kyuuñ hai
roz mar jaate haiñ bīmār na.ī baat nahīñ
choT paḌtī nahīñ ehsās pe ab muddat se
aap kī talḳhī-e-guftār na.ī baat nahīñ
husn-e-iḳhlās ke badle meñ junūñ miltā hai
'aam hai shāmat-e-kirdār na.ī baat nahīñ
pursish-e-hāl ke baa'd un ko taraddud kaisā
kah chuke ham to ka.ī baar na.ī baat nahīñ
aap ki shoKHi-e-inkar nai baat nahin
ye to ma'mul hai sarkar nai baat nahin
aap ko KHun-e-tamanna pe ta'ajjub kyun hai
roz mar jate hain bimar nai baat nahin
choT paDti nahin ehsas pe ab muddat se
aap ki talKHi-e-guftar nai baat nahin
husn-e-iKHlas ke badle mein junun milta hai
'am hai shamat-e-kirdar nai baat nahin
pursish-e-haal ke ba'd un ko taraddud kaisa
kah chuke hum to kai bar nai baat nahin
- Book : Khamyazah (Pg. 137)
- Author : Sayed Mazhar gilani
- Publication : Sayed Suhail wajid Fauq (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.