aap ki soch se ziyaada tha
aap kī soch se ziyāda thā
ek din mere paas itnā thā
pahlī harakat se ban ga.ī thī baat
pahlī harakat se naqsh ubhrā thā
mujh ko shohrat milī baġhāvat se
varna maiñ bhī ġhulām hotā thā
bolnā aayā baa'd meñ mujh ko
pahle āvāz ko maiñ suntā thā
raushnī phūTne lagī mujh se
terī minnat kā jugnū pakḌā thā
'aks se ret ban ke niklā huuñ
aa.ine kā maiñ kuchh to lagtā thā
log bedār ho ga.e varna
band kamre meñ kis ne sonā thā
raat us us ko sabz ḳhvāb aa.e
sub.h jis jis ne biij bonā thā
us jagah par koī nahīñ thā magar
aap ne kah diyā lihāzā thā
aap ki soch se ziyaada tha
ek din mere pas itna tha
pahli harakat se ban gai thi baat
pahli harakat se naqsh ubhra tha
mujh ko shohrat mili baghawat se
warna main bhi ghulam hota tha
bolna aaya ba'd mein mujh ko
pahle aawaz ko main sunta tha
raushni phuTne lagi mujh se
teri minnat ka jugnu pakDa tha
'aks se ret ban ke nikla hun
aaine ka main kuchh to lagta tha
log bedar ho gae warna
band kamre mein kis ne sona tha
raat us us ko sabz KHwab aae
subh jis jis ne bij bona tha
us jagah par koi nahin tha magar
aap ne kah diya lihaza tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.