aap ki yaad lala-zari hai
aap kī yaad lāla-zārī hai
haa.e kyā chiiz be-qarārī hai
lafz pe lafz ham ne badlā hai
baat pe baat tum ne maarī hai
daad detā huuñ tere tīroñ ko
zaḳhm jo bhī lagā hai kaarī hai
hijr kī sirf ek saa.at bhī
ik sadī kī tarah guzārī hai
kaun-se rāste ko lauToge
kis taraf aap kī savārī hai
qahqahe ḳhatm ho ga.e 'muftī'
ab zamāne meñ āh-o-zārī hai
aap ki yaad lala-zari hai
hae kya chiz be-qarari hai
lafz pe lafz hum ne badla hai
baat pe baat tum ne mari hai
dad deta hun tere tiron ko
zaKHm jo bhi laga hai kari hai
hijr ki sirf ek saat bhi
ek sadi ki tarah guzari hai
kaun-se raste ko lauToge
kis taraf aap ki sawari hai
qahqahe KHatm ho gae 'mufti'
ab zamane mein aah-o-zari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.