aapko gar kuchh KHayal-e-wada-e-baham rahe
aapko gar kuchh KHayal-e-wada-e-baham rahe
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
aap ko gar kuchh ḳhayāl-e-vā'da-e-bāham rahe
mubtalā-e-ārzū kyoñ mubtalā-e-ġham rahe
kar taḌapne meñ madad ai dil ki Thānī ham ne hai
aaj qaid-e-ġham rahe yā mubtalā-e-ġham rahe
phir vahī āshuftagī ho phir vahī dīvāngī
dil pe yārab phir junūn-e-ishq kā 'ālam rahe
is pashemānī pe qurbāñ kyā karūñ jaañ bhī nahīñ
mere mar jaane pe koī mubtalā-e-ġham rahe
phir vahī rang-e-parastish hai vahī tarz-e-vafā
phir kisī ke āstāñ par apnī gardan ḳham rahe
taab lā.ūñ diid kī 'kaifī' ye mumkin hai kahāñ
nayyar-e-tābāñ ke aage qatra-e-shabnam rahe
aap ko gar kuchh KHayal-e-wa'da-e-baham rahe
mubtala-e-arzu kyon mubtala-e-gham rahe
kar taDapne mein madad ai dil ki Thani hum ne hai
aaj qaid-e-gham rahe ya mubtala-e-gham rahe
phir wahi aashuftagi ho phir wahi diwangi
dil pe yarab phir junun-e-ishq ka 'alam rahe
is pashemani pe qurban kya karun jaan bhi nahin
mere mar jaane pe koi mubtala-e-gham rahe
phir wahi rang-e-parastish hai wahi tarz-e-wafa
phir kisi ke aastan par apni gardan KHam rahe
tab laun did ki 'kaifi' ye mumkin hai kahan
nayyar-e-taban ke aage qatra-e-shabnam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.