aapko ye bhale aasan safar lagta hai
aap ko ye bhale āsān safar lagtā hai
she'r kahne meñ magar ḳhūn-e-jigar lagtā hai
chāhte the jise bhar leñge kabhī bāñhoñ meñ
itnā nāzuk hai vo chhūne meñ bhī Dar lagtā hai
itnī yādeñ haiñ fazāoñ meñ tirī kyā boleñ
lakhna.ū aaj bhī terā hī nagar lagtā hai
jis kisī se bhī milūñ ab vo lage hai tum sā
tum na mānoge mire yaar magar lagtā hai
tum se bichhḌe the kabhī tab se pahar ye ham ko
aaj tak tum se bichhaḌne kā pahar lagtā hai
aap ko ye bhale aasan safar lagta hai
she'r kahne mein magar KHun-e-jigar lagta hai
chahte the jise bhar lenge kabhi banhon mein
itna nazuk hai wo chhune mein bhi Dar lagta hai
itni yaaden hain fazaon mein teri kya bolen
lakhnau aaj bhi tera hi nagar lagta hai
jis kisi se bhi milun ab wo lage hai tum sa
tum na manoge mere yar magar lagta hai
tum se bichhDe the kabhi tab se pahar ye hum ko
aaj tak tum se bichhaDne ka pahar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.