aap kya ek sitamgar bane baiThe hain
aap kyā ek sitamgār bane baiThe haiñ
ġhair bhī to mire ġham-ḳhvār bane baiThe haiñ
vā.izoñ kī bhī ye tauqīr hai allāh allāh
pāsbān-e-dar-e-ḳhummār bane baiThe haiñ
chashm hai āb-e-ravāñ siine meñ dāġhoñ kī bahār
ham bhī ik taḳhta-e-gulzār bane baiThe haiñ
pūchhte haiñ vo mujhī se ye ġhazab to dekho
aap bhī tālib-e-dīdār bane baiThe haiñ
dilrubā.ī ke ye andāz ġhazab haiñ tere
ki havas-pesha ḳharīdār bane baiThe haiñ
aap kya ek sitamgar bane baiThe hain
ghair bhi to mere gham-KHwar bane baiThe hain
waizon ki bhi ye tauqir hai allah allah
pasban-e-dar-e-KHummar bane baiThe hain
chashm hai aab-e-rawan sine mein daghon ki bahaar
hum bhi ek taKHta-e-gulzar bane baiThe hain
puchhte hain wo mujhi se ye ghazab to dekho
aap bhi talib-e-didar bane baiThe hain
dilrubai ke ye andaz ghazab hain tere
ki hawas-pesha KHaridar bane baiThe hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 235)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.