aap logon ke kahe par hi ukhaD jate hain
aap logoñ ke kahe par hī ukhaḌ jaate haiñ
log to jhuuT bhī sau tarah ke ghaḌ jaate haiñ
aañkh kis tarah khule merī ki maiñ jāntā huuñ
aañkh khulte hī sabhī ḳhvāb ujaḌ jaate haiñ
ġham tumhārā nahīñ jānāñ hameñ dukh apnā hai
tum bichhaḌte ho to ham ḳhud se bichhaḌ jaate haiñ
log kahte haiñ ki taqdīr aTal hotī hai
ham ne dekhā hai muqaddar bhī bigaḌ jaate haiñ
vo jo 'haidar' mire munkir the mire zikr pe ab
chauñk uThte haiñ kisī soch meñ paḌ jaate haiñ
aap logon ke kahe par hi ukhaD jate hain
log to jhuT bhi sau tarah ke ghaD jate hain
aankh kis tarah khule meri ki main jaanta hun
aankh khulte hi sabhi KHwab ujaD jate hain
gham tumhaara nahin jaanan hamein dukh apna hai
tum bichhaDte ho to hum KHud se bichhaD jate hain
log kahte hain ki taqdir aTal hoti hai
hum ne dekha hai muqaddar bhi bigaD jate hain
wo jo 'haidar' mere munkir the mere zikr pe ab
chaunk uThte hain kisi soch mein paD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.