aap na-ashna ho gae
aap nā-āshnā ho ga.e
ya.anī ham se ḳhafā ho ga.e
zindagī marhala ban ga.ī
hādse silsila ho ga.e
ab shikāyat nahīñ hai koī
shikve sab barmalā ho ga.e
aadmī aadmī ke liye
tauba tauba ḳhudā ho ga.e
dard had se kuchh itne baḌhe
aap apnī davā ho ga.e
itifāqan vo mānūs hue
ehtiyātan ḳhafā ho ga.e
zindagī kashmakash hī rahī
dard jis kā sila ho ga.e
kitnā tanhā hai ye aadmī
apne saa.e judā ho ga.e
ham tire vāste zindagī
zabt kī intihā ho ga.e
terā dar aur merī jabīñ
kaise lamhe atā ho ga.e
ashraf is zindagī ke liye
kyā the tum aur kyā ho ga.e
aap na-ashna ho gae
yani hum se KHafa ho gae
zindagi marhala ban gai
hadse silsila ho gae
ab shikayat nahin hai koi
shikwe sab barmala ho gae
aadmi aadmi ke liye
tauba tauba KHuda ho gae
dard had se kuchh itne baDhe
aap apni dawa ho gae
itifaqan wo manus hue
ehtiyatan KHafa ho gae
zindagi kashmakash hi rahi
dard jis ka sila ho gae
kitna tanha hai ye aadmi
apne sae juda ho gae
hum tere waste zindagi
zabt ki intiha ho gae
tera dar aur meri jabin
kaise lamhe ata ho gae
ashraf is zindagi ke liye
kya the tum aur kya ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.