aapne aaKHir ye kya jadu kiya diwar pe
aap ne āḳhir ye kyā jaadū kiyā dīvār pe
aap kā chehra mujhe dikhtā rahā dīvār pe
pahle barsoñ maiñ ne ḳhud ko qaid kamre meñ kiyā
aur tab jā kar darīcha ye banā dīvār pe
aap se bhī ye darāreñ jo nahīñ bhar pā rahīñ
aap ne bhī zulm thā kitnā kiyā dīvār pe
qadr tū ne kī na us kī zindagī meñ jo kabhī
maut par bhī us kī photo mat lagā dīvār pe
chhū liyā tum ne sanam dīvār ko to yuuñ huā
rang jaise ik nayā sā chaḌh gayā dīvār pe
likh rahe the log apnī zindagī kī dāstāñ
aur ham ne naam terā likh diyā dīvār pe
qais ne yāroñ agar ġham meñ guzārī zindagī
'ahd' bhī to sar paTaktā hī rahā dīvār pe
aap ne aaKHir ye kya jadu kiya diwar pe
aap ka chehra mujhe dikhta raha diwar pe
pahle barson main ne KHud ko qaid kamre mein kiya
aur tab ja kar daricha ye bana diwar pe
aap se bhi ye dararen jo nahin bhar pa rahin
aap ne bhi zulm tha kitna kiya diwar pe
qadr tu ne ki na us ki zindagi mein jo kabhi
maut par bhi us ki photo mat laga diwar pe
chhu liya tum ne sanam diwar ko to yun hua
rang jaise ek naya sa chaDh gaya diwar pe
likh rahe the log apni zindagi ki dastan
aur hum ne nam tera likh diya diwar pe
qais ne yaron agar gham mein guzari zindagi
'ahd' bhi to sar paTakta hi raha diwar pe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.