aap par jab se tabiat aai
aap par jab se tabī'at aa.ī
roz-o-shab mujh pe qayāmat aa.ī
haa.e barbād kiyā hai kyā kyā
raas ham ko na mohabbat aa.ī
ai havas-kār tirī nazroñ meñ
kab bhalā merī haqīqat aa.ī
zindagī biit ga.ī hai yūñhī
jab bhī aa.ī shab-e-furqat aa.ī
zulm go us ne bahut baar kiye
lab pe mere na shikāyat aa.ī
terī ḳhātir se jahāñ ko chhoḌā
phir bhī tujh ko na mohabbat aa.ī
dil-e-betāb hai taḌpā kyā kyā
jab kabhī yaad vo sūrat aa.ī
in fasānoñ meñ jahāñ ke aksar
kuchh nazar mujh ko haqīqat aa.ī
aap ma.asūm bahut the pahle
aap ko kab se sharārat aa.ī
ai 'zakī' ishq ke hāthoñ ham par
jab bhī aa.ī to musībat aa.ī
aap par jab se tabi'at aai
roz-o-shab mujh pe qayamat aai
hae barbaad kiya hai kya kya
ras hum ko na mohabbat aai
ai hawas-kar teri nazron mein
kab bhala meri haqiqat aai
zindagi bit gai hai yunhi
jab bhi aai shab-e-furqat aai
zulm go us ne bahut bar kiye
lab pe mere na shikayat aai
teri KHatir se jahan ko chhoDa
phir bhi tujh ko na mohabbat aai
dil-e-betab hai taDpa kya kya
jab kabhi yaad wo surat aai
in fasanon mein jahan ke aksar
kuchh nazar mujh ko haqiqat aai
aap masum bahut the pahle
aap ko kab se shararat aai
ai 'zaki' ishq ke hathon hum par
jab bhi aai to musibat aai
- Saaz-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.