aap samjhen to hamare ishq ki rudad bhi
aap samjheñ to hamāre ishq kī rūdād bhī
dāstān-e-sīs bhī hai qissa-e-farhād bhī
dil meñ lākhoñ ārzūeñ haiñ hazāroñ hasrateñ
ye vo bastī hai jo hai barbād bhī ābād bhī
shukriya ai gardish-e-ayyām tere faiz se
gulsitāñ bhī ham ne dekhā ḳhāna-e-sayyād bhī
un kā banda ho ke bhī hai pās-e-ḳhuddārī mujhe
maiñ asīr-e-ishq bhī huuñ aur huuñ āzād bhī
ab badal jaa.e mizāj-e-husn bhī to kyā ajab
rāhat-e-jāñ hotī jaatī hai kisī kī yaad bhī
raas aa.ī hai kahāñ mujh ko fazā-e-gulsitāñ
bad-gumāñ hai bāġhbāñ bhī aur hai sayyād bhī
har tarah dilchasp-o-dilkash thā fasāna ishq kā
daad ke qābil hai lekin husn kī rūdād bhī
aap samjhen to hamare ishq ki rudad bhi
dastan-e-sis bhi hai qissa-e-farhad bhi
dil mein lakhon aarzuen hain hazaron hasraten
ye wo basti hai jo hai barbaad bhi aabaad bhi
shukriya ai gardish-e-ayyam tere faiz se
gulsitan bhi hum ne dekha KHana-e-sayyaad bhi
un ka banda ho ke bhi hai pas-e-KHuddari mujhe
main asir-e-ishq bhi hun aur hun aazad bhi
ab badal jae mizaj-e-husn bhi to kya ajab
rahat-e-jaan hoti jati hai kisi ki yaad bhi
ras aai hai kahan mujh ko faza-e-gulsitan
bad-guman hai baghban bhi aur hai sayyaad bhi
har tarah dilchasp-o-dilkash tha fasana ishq ka
dad ke qabil hai lekin husn ki rudad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.