aap se āshnā.ī hotī hai
jis kī jis vaqt aa.ī hotī hai
vasl ke din bhī āñkhoñ āñkhoñ meñ
un kī merī laḌā.ī hotī hai
kis se sīkhā hai aap ne parda
ye sifat to ḳhudā.ī hotī hai
qabr bhī merī un ko takiya hai
Tek aa kar lagā.ī hotī hai
ham ajal kā shikār hote haiñ
vo parī ban ke aa.ī hotī hai
bujh chukī sham' un kī mahfil meñ
ġhair kī kārvā.ī hotī hai
tab hī 'hāris' ko 'ishq hai is se
shā'irī irtiqā.ī hotī hai
aap se aashnai hoti hai
jis ki jis waqt aai hoti hai
wasl ke din bhi aankhon aankhon mein
un ki meri laDai hoti hai
kis se sikha hai aap ne parda
ye sifat to KHudai hoti hai
qabr bhi meri un ko takiya hai
Tek aa kar lagai hoti hai
hum ajal ka shikar hote hain
wo pari ban ke aai hoti hai
bujh chuki sham' un ki mahfil mein
ghair ki karwai hoti hai
tab hi 'haaris' ko 'ishq hai is se
sha'iri irtiqai hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.