aap se aur kya nahin hoga
aap se aur kyā nahīñ hogā
sirf va.ada vafā nahīñ hogā
kis ko ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ hogā
bas butoñ ko zarā nahīñ hogā
aaj va.ada vafā nahīñ hogā
terā dīdār kyā nahīñ hogā
jitnī chāho jafā.eñ tum kar lo
kabhī mujh se gila nahīñ hogā
laakh sūrat se kar jafā mujh par
tark-e-sabr-o-razā nahīñ hogā
le le merī zabāñ bhī ai qāsid
ḳhat se matlab adā nahīñ hogā
tujh sā zālim agar nahīñ koī
mujh sā bhī bā-vafā nahīñ hogā
kyoñ bigaḌte ho ḳhat mirā paḌh kar
ab raqam mudda.ā nahīñ hogā
dil to kyā merī jaan bhī le lo
uzr mujh ko zarā nahīñ hogā
tez hogī to kab chhurī terī
jab hamārā galā nahīñ hogā
jo sazā chāhte ho do mujh ko
kabhī uzr-e-ḳhatā nahīñ hogā
laakh vāsil ḳhudā se ho jaa.e
phir bhī banda ḳhudā nahīñ hogā
koī shākī jafā kā hogā aur
'hāmid'-e-bā-vafā nahīñ hogā
aap se aur kya nahin hoga
sirf wada wafa nahin hoga
kis ko KHauf-e-KHuda nahin hoga
bas buton ko zara nahin hoga
aaj wada wafa nahin hoga
tera didar kya nahin hoga
jitni chaho jafaen tum kar lo
kabhi mujh se gila nahin hoga
lakh surat se kar jafa mujh par
tark-e-sabr-o-raza nahin hoga
le le meri zaban bhi ai qasid
KHat se matlab ada nahin hoga
tujh sa zalim agar nahin koi
mujh sa bhi ba-wafa nahin hoga
kyon bigaDte ho KHat mera paDh kar
ab raqam muddaa nahin hoga
dil to kya meri jaan bhi le lo
uzr mujh ko zara nahin hoga
tez hogi to kab chhuri teri
jab hamara gala nahin hoga
jo saza chahte ho do mujh ko
kabhi uzr-e-KHata nahin hoga
lakh wasil KHuda se ho jae
phir bhi banda KHuda nahin hoga
koi shaki jafa ka hoga aur
'hamid'-e-ba-wafa nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.