aap se kis ne kaha hai ki mohabbat kariye
aap se kis ne kaha hai ki mohabbat kariye
Arzoo Ashraf Sultanpuri
MORE BYArzoo Ashraf Sultanpuri
aap se kis ne kahā hai ki mohabbat kariye
aap tājir haiñ mire ġham kī tijārat kariye
be-vuzū ishq kī takmīl hai tauhīn-e-sanam
kar rahe haiñ to salīqe se ibādat kariye
ishq meñ kufr kahā jaatā hai shikve kā amal
is liye soch samajh kar hī shikāyat kariye
sar kī ḳhvāhish hai to ham ahl-e-junūñ de deñge
aap talvār uThāne kī na zahmat kariye
ab kahāñ miltā hai dīvāna koī sahrā meñ
gar muqaddar se vo mil jaa.e to izzat kariye
kaan meñ sīsa-e-ġham ghol ke farmāte haiñ
qissa-e-ishq merī jaan samā.at kariye
dīda-e-nam pe bichhā kar hī musallā dil kā
ashk ban kar mire jazboñ kī imāmat kariye
aap se kis ne kaha hai ki mohabbat kariye
aap tajir hain mere gham ki tijarat kariye
be-wuzu ishq ki takmil hai tauhin-e-sanam
kar rahe hain to saliqe se ibaadat kariye
ishq mein kufr kaha jata hai shikwe ka amal
is liye soch samajh kar hi shikayat kariye
sar ki KHwahish hai to hum ahl-e-junun de denge
aap talwar uThane ki na zahmat kariye
ab kahan milta hai diwana koi sahra mein
gar muqaddar se wo mil jae to izzat kariye
kan mein sisa-e-gham ghol ke farmate hain
qissa-e-ishq meri jaan samaat kariye
dida-e-nam pe bichha kar hi musalla dil ka
ashk ban kar mere jazbon ki imamat kariye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.