aap tanha na kahin jaen Tahalne ke liye
aap tanhā na kahīñ jaa.eñ Tahalne ke liye
saath uThtī hai qayāmat bhī to chalne ke liye
ban chukī qabr mirī jab to vo hañs kar bole
ik jagah aur huī naaz se chalne ke liye
dekhiye tā-ba-jigar aa.e ki dil tak aa.e
uTh rahī hai nigah-e-nāz Tahalne ke liye
sham.a ke gul mire madfan pe chaḌhāne laa.e
husn-e-dil-soz ye pahlū mire jalne ke liye
tezī-e-nok-e-mizha siine meñ rauzan kar de
hasrateñ dil meñ taḌaptī haiñ nikalne ke liye
gul huī sham.a dam-e-sub.h ye kah kar 'safdar'
kal phir aanā hai isī bazm meñ jalne ke liye
aap tanha na kahin jaen Tahalne ke liye
sath uThti hai qayamat bhi to chalne ke liye
ban chuki qabr meri jab to wo hans kar bole
ek jagah aur hui naz se chalne ke liye
dekhiye ta-ba-jigar aae ki dil tak aae
uTh rahi hai nigah-e-naz Tahalne ke liye
shama ke gul mere madfan pe chaDhane lae
husn-e-dil-soz ye pahlu mere jalne ke liye
tezi-e-nok-e-mizha sine mein rauzan kar de
hasraten dil mein taDapti hain nikalne ke liye
gul hui shama dam-e-subh ye kah kar 'safdar'
kal phir aana hai isi bazm mein jalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.