aap tarkash mein agar tir liye baiThe hain
aap tarkash mein agar tir liye baiThe hain
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat
aap tarkash meñ agar tiir liye baiThe haiñ
ham bhī fariyād meñ tāsīr liye baiThe haiñ
ham baġhal meñ dil-e-dil-gīr liye baiThe haiñ
ġham kī muñh boltī tasvīr liye baiThe haiñ
aisī vahshat ke nisār aise junūñ ke sadqe
vo mire vāste zanjīr liye baiThe haiñ
shāyad ai shauq-e-shahādat tirī qismat khul jaa.e
sun rahā huuñ ki vo shamshīr liye baiThe haiñ
koī suntā bhī hai yuuñ ham jo kisī ke aage
qissa-e-shūmī-e-taqdīr liye baiThe haiñ
ai junūñ toḌ ke ab ham bhī bahut pachhtā.e
haath meñ paañv kī zanjīr liye baiThe haiñ
sau jagah hotī hai ham ko ḳhalish-e-ġham mahsūs
dil meñ ik tiir ke sau tiir liye baiThe haiñ
aap agar ham se ham-āġhosh nahīñ haiñ to na hoñ
dil meñ ham aap kī tasvīr liye baiThe haiñ
qatl ke ba.ad ab un ko bhī hai sadma 'nudrat'
lāsha-e-āshiq-e-dil-gīr liye baiThe haiñ
aap tarkash mein agar tir liye baiThe hain
hum bhi fariyaad mein tasir liye baiThe hain
hum baghal mein dil-e-dil-gir liye baiThe hain
gham ki munh bolti taswir liye baiThe hain
aisi wahshat ke nisar aise junun ke sadqe
wo mere waste zanjir liye baiThe hain
shayad ai shauq-e-shahadat teri qismat khul jae
sun raha hun ki wo shamshir liye baiThe hain
koi sunta bhi hai yun hum jo kisi ke aage
qissa-e-shumi-e-taqdir liye baiThe hain
ai junun toD ke ab hum bhi bahut pachhtae
hath mein panw ki zanjir liye baiThe hain
sau jagah hoti hai hum ko KHalish-e-gham mahsus
dil mein ek tir ke sau tir liye baiThe hain
aap agar hum se ham-aghosh nahin hain to na hon
dil mein hum aap ki taswir liye baiThe hain
qatl ke baad ab un ko bhi hai sadma 'nudrat'
lasha-e-ashiq-e-dil-gir liye baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.