aap tir-o-kaman wale hain
aap tīr-o-kamān vaale haiñ
ham to urdu zabān vaale haiñ
ham haiñ me'mār ūñche mahloñ ke
phir bhī kachche makān vaale haiñ
mutma.in ham haiñ dhuup meñ rah kar
ḳhush nahīñ sā.ebān vaale haiñ
maslahat hai jo chup haiñ lab apne
varna ham bhī zabān vaale haiñ
ham-safar mere ho nahīñ sakte
aap ūñchī uḌaan vaale haiñ
ḳhaak haiñ is liye haiñ ḳhāk-nashīñ
varna ham āsmān vaale haiñ
'mast' nisbat hai 'mīr'-o-'ġhālib' se
ham bhī hindostān vaale haiñ
aap tir-o-kaman wale hain
hum to urdu zaban wale hain
hum hain me'mar unche mahlon ke
phir bhi kachche makan wale hain
mutmain hum hain dhup mein rah kar
KHush nahin saeban wale hain
maslahat hai jo chup hain lab apne
warna hum bhi zaban wale hain
ham-safar mere ho nahin sakte
aap unchi uDan wale hain
KHak hain is liye hain KHak-nashin
warna hum aasman wale hain
'mast' nisbat hai 'mir'-o-'ghaalib' se
hum bhi hindostan wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.