aap to raat so liye sahab
aap to raat so liye sāhab
ham ne takiye bhigo liye sāhab
dard kī dhuul ġham kī bād-e-sumūm
ghar kā darvāza kholiye sāhab
us ke dāman ko chhū ke aa.e haiñ
ham ko phūloñ meñ tauliye sāhab
talḳhiyoñ kā mizāj badlegā
zahr meñ qand gholiye sāhab
dekhiye ḳhud ko mere chehre meñ
'aks shīshe meñ tauliye sāhab
ham bhī muñh meñ zabān rakhte haiñ
itnā ūñchā na boliye sāhab
'mauj' se mauj hai ishāra-kunāñ
bādbānoñ ko kholiye sāhab
aap to raat so liye sahab
hum ne takiye bhigo liye sahab
dard ki dhul gham ki baad-e-sumum
ghar ka darwaza kholiye sahab
us ke daman ko chhu ke aae hain
hum ko phulon mein tauliye sahab
talKHiyon ka mizaj badlega
zahr mein qand gholiye sahab
dekhiye KHud ko mere chehre mein
'aks shishe mein tauliye sahab
hum bhi munh mein zaban rakhte hain
itna uncha na boliye sahab
'mauj' se mauj hai ishaara-kunan
baadbanon ko kholiye sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.