aaqil hai ba-shuur hai kafi zahin bhi
aaqil hai bā-shu.ūr hai kaafī zahīn bhī
is par hai mustazād vo az-had hasīn bhī
bosa kisī bhī phuul kā ham ne nahīñ liyā
ruḳhsār muntazir rahe lab bhī jabīn bhī
ghar le liyā hai ain tire ghar ke sāmne
aur ik ḳharīd laayā huuñ maiñ dūrbīn bhī
sab kaam ho rahe haiñ ajiib is qadar ajiib
likhne se pahle sochte haiñ kātbīn bhī
ik shoḳh-o-shañg tifl chhupā hai darūn-e-dil
sanjīda lag rahā huuñ ba-zāhir matīn bhī
āñkhoñ meñ jis kī rahm ho hāthoñ meñ roTiyāñ
vo shaḳhs muflisoñ kā dharam bhī hai diin bhī
insāniyat ke jism pe chand aise daaġh haiñ
jin par hai sharmsār falak aur zamīn bhī
hañste hue maregā koī dil gazīda shaḳhs
aa.egā is Darāme ke andar vo siin bhī
ash.ār gar safar na kareñ dil se dil talak
dete nahīñ haiñ daad 'qamar' sāma.īn bhī
aaqil hai ba-shuur hai kafi zahin bhi
is par hai mustazad wo az-had hasin bhi
bosa kisi bhi phul ka hum ne nahin liya
ruKHsar muntazir rahe lab bhi jabin bhi
ghar le liya hai ain tere ghar ke samne
aur ek KHarid laya hun main durbin bhi
sab kaam ho rahe hain ajib is qadar ajib
likhne se pahle sochte hain katbin bhi
ek shoKH-o-shang tifl chhupa hai darun-e-dil
sanjida lag raha hun ba-zahir matin bhi
aankhon mein jis ki rahm ho hathon mein roTiyan
wo shaKHs muflison ka dharam bhi hai din bhi
insaniyat ke jism pe chand aise dagh hain
jin par hai sharmsar falak aur zamin bhi
hanste hue marega koi dil gazida shaKHs
aaega is Darame ke andar wo sin bhi
ashaar gar safar na karen dil se dil talak
dete nahin hain dad 'qamar' samain bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.