aariz jabin zulf-e-moambar mein aag hai
aariz jabīn zulf-e-mo.ambar meñ aag hai
ye husn hai ki husn ke paikar meñ aag hai
us āftāb-rū ko take chashm-e-ishtiyāq
allāh ḳhair aag ke chakkar meñ aag hai
bikhre haiñ ḳhvāb meñ koī bikhrā abhī kahāñ
zinda huuñ maiñ abhī mire shah-par meñ aag hai
pās-e-vafā thā is liye kashtī utaar dī
ma.alūm thā hameñ ki samundar meñ aag hai
hadd-e-nigāh phaile ujāloñ kā ye gumāñ
merī nazar hai aag ki manzar meñ aag hai
dil kī lagī bujhā.e kahāñ jā ke ab junūñ
aañsū haiñ aag bāda-o-sāġhar meñ aag hai
jaltī nigah sulagtā jigar zehn-o-dil dhuāñ
kyā kījiye ki apne muqaddar meñ aag hai
aariz jabin zulf-e-moambar mein aag hai
ye husn hai ki husn ke paikar mein aag hai
us aaftab-ru ko take chashm-e-ishtiyaq
allah KHair aag ke chakkar mein aag hai
bikhre hain KHwab mein koi bikhra abhi kahan
zinda hun main abhi mere shah-par mein aag hai
pas-e-wafa tha is liye kashti utar di
malum tha hamein ki samundar mein aag hai
hadd-e-nigah phaile ujalon ka ye guman
meri nazar hai aag ki manzar mein aag hai
dil ki lagi bujhae kahan ja ke ab junun
aansu hain aag baada-o-saghar mein aag hai
jalti nigah sulagta jigar zehn-o-dil dhuan
kya kijiye ki apne muqaddar mein aag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.