aariz ko gulab likh raha hun
aariz ko gulāb likh rahā huuñ
paanī ko sarāb likh rahā huuñ
kuchh to hai mujhe ki naam terā
har reg-e-bar-āb likh rahā huuñ
tujh ko maiñ parinda-e-shafaq-gūñ
duniyā ko uqaab likh rahā huuñ
har chand rafīq-e-be-kasī haiñ
yādoñ ko azaab likh rahā huuñ
le aaj tire hasīñ badan ko
dariyā-e-chanāb likh rahā huuñ
aa phir mirī lazzatoñ meñ kho jā
maiñ kār-e-savāb likh rahā huuñ
is tīra-o-tār fāsle ko
maiñ sirf naqāb likh rahā huuñ
barbād na kar hadīs-e-daurāñ
ai chashm-e-pur-āb likh rahā huuñ
larzāñ hai qalam ba-sath-e-qirtās
haañ mast-e-shabāb likh rahā huuñ
aariz ko gulab likh raha hun
pani ko sarab likh raha hun
kuchh to hai mujhe ki nam tera
har reg-e-bar-ab likh raha hun
tujh ko main parinda-e-shafaq-gun
duniya ko uqab likh raha hun
har chand rafiq-e-be-kasi hain
yaadon ko azab likh raha hun
le aaj tere hasin badan ko
dariya-e-chanab likh raha hun
aa phir meri lazzaton mein kho ja
main kar-e-sawab likh raha hun
is tira-o-tar fasle ko
main sirf naqab likh raha hun
barbaad na kar hadis-e-dauran
ai chashm-e-pur-ab likh raha hun
larzan hai qalam ba-sath-e-qirtas
han mast-e-shabab likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.