aariz-o-zulf-e-yar ki baaten
āriz-o-zulf-e-yār kī bāteñ
jaise lail-o-nahār kī bāteñ
husn se tazkira mohabbat kā
aa.ine se ġhubār kī bāteñ
kitnī rangīñ hai apnī shām-e-firāq
pahroñ dil se haiñ yaar kī bāteñ
kab na dār-o-rasan ne chheḌī haiñ
jur.at-e-pā.edār kī bāteñ
tum ho aur be-niyāzī-e-paiham
ham haiñ aur e.atibār kī bāteñ
miT chuke valvale bahāroñ ke
ab kahāñ lāla-zār kī bāteñ
dil pe ab shaaq haiñ bahut hamdam
mausam-e-ḳhush-gavār kī bāteñ
sun sako to zabān-e-gul se suno
dāman-e-tār-tār kī bāteñ
hāsil-e-umr ban ga.ī haiñ 'hasan'
husn-e-īmāñ-shikār kī bāteñ
aariz-o-zulf-e-yar ki baaten
jaise lail-o-nahaar ki baaten
husn se tazkira mohabbat ka
aaine se ghubar ki baaten
kitni rangin hai apni sham-e-firaq
pahron dil se hain yar ki baaten
kab na dar-o-rasan ne chheDi hain
jurat-e-paedar ki baaten
tum ho aur be-niyazi-e-paiham
hum hain aur eatibar ki baaten
miT chuke walwale bahaaron ke
ab kahan lala-zar ki baaten
dil pe ab shaq hain bahut hamdam
mausam-e-KHush-gawar ki baaten
sun sako to zaban-e-gul se suno
daman-e-tar-tar ki baaten
hasil-e-umr ban gai hain 'hasan'
husn-e-iman-shikar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.