aarzu jaga karegi aur so jaunga main
aarzū jaagā karegī aur so jā.ūñgā maiñ
rafta-rafta ek din patthar kā ho jā.ūñgā maiñ
kaun sī shai shahr kī phir rok pā.egī mujhe
be-dilī jis din baḌhī sahrā meñ kho jā.ūñgā maiñ
jab talak huuñ pyaar se bāteñ karo baiTho qarīb
vaqt guzrā aur guzrī yaad ho jā.ūñgā maiñ
farsh tasvīreñ divāreñ sab hue āḳhir hazīñ
niiñd ke shānoñ ko kar ke yaad ro jā.ūñgā maiñ
ho sake to toḌ denā phuul kī chādar kī rasm
giit gaanā ḳhaar ke kal ko jo so jā.ūñgā maiñ
aarzu jaga karegi aur so jaunga main
rafta-rafta ek din patthar ka ho jaunga main
kaun si shai shahr ki phir rok paegi mujhe
be-dili jis din baDhi sahra mein kho jaunga main
jab talak hun pyar se baaten karo baiTho qarib
waqt guzra aur guzri yaad ho jaunga main
farsh taswiren diwaren sab hue aaKHir hazin
nind ke shanon ko kar ke yaad ro jaunga main
ho sake to toD dena phul ki chadar ki rasm
git gana KHar ke kal ko jo so jaunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.