aarzu kab hai teri anjuman-arai ki
aarzū kab hai tirī anjuman-ārā.ī kī
dostī raas mujhe aa.ī hai tanhā.ī kī
kaun hai baḌh ke bujhā.e jo sulagte ghar ko
aañkh rakhtī hai ye duniyā to tamāshā.ī kī
sunñe vaalā nahīñ mazlūm ke dil kī chīḳheñ
guuñj hai aaj tire shahr meñ shahnā.ī kī
rang is gulshan-e-ālam kā yahāñ tak badlā
uḌ ga.ī bū-e-vafā bhaa.ī se ab bhaa.ī kī
rabt-e-ulfat na baḌhā had se ziyāda nādāñ
aage naubat kahīñ aa jaa.e na rusvā.ī kī
fan kā ḳhud aa.ina fankār huā kartā hai
kyā zarūrat hai ta.āruf kī shanāsā.ī kī
ḳhud ko daanā bhī samajhnā hai 'nazar' nādānī
ājizī asl meñ pahchān hai dānā.ī kī
aarzu kab hai teri anjuman-arai ki
dosti ras mujhe aai hai tanhai ki
kaun hai baDh ke bujhae jo sulagte ghar ko
aankh rakhti hai ye duniya to tamashai ki
sunne wala nahin mazlum ke dil ki chiKHen
gunj hai aaj tere shahr mein shahnai ki
rang is gulshan-e-alam ka yahan tak badla
uD gai bu-e-wafa bhai se ab bhai ki
rabt-e-ulfat na baDha had se ziyaada nadan
aage naubat kahin aa jae na ruswai ki
fan ka KHud aaina fankar hua karta hai
kya zarurat hai taaruf ki shanasai ki
KHud ko dana bhi samajhna hai 'nazar' nadani
aajizi asl mein pahchan hai danai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.