aarzu kis ko nahin hijr mein mar jaane ki
aarzū kis ko nahīñ hijr meñ mar jaane kī
kuchh agar der hai to aap ke farmāne kī
ye jo vaa.iz ne kiyā kausar-o-tasnīm kā zikr
uḌtī paḌtī sī ḳhabar hai mire maiḳhāne kī
sāmne un ke diyā ġhair ko sāġhar tū ne
āshiqoñ ke liye ye baat hai mar jaane kī
shahr se dasht tak ik dhuum machā rakkhī hai
baḌh ga.ī tujh se bhī shohrat tire dīvāne kī
hazrat-e-'mast' faqat aaj tumhāre dam se
sohbateñ garm rahā kartī haiñ maiḳhāne kī
aarzu kis ko nahin hijr mein mar jaane ki
kuchh agar der hai to aap ke farmane ki
ye jo waiz ne kiya kausar-o-tasnim ka zikr
uDti paDti si KHabar hai mere maiKHane ki
samne un ke diya ghair ko saghar tu ne
aashiqon ke liye ye baat hai mar jaane ki
shahr se dasht tak ek dhum macha rakkhi hai
baDh gai tujh se bhi shohrat tere diwane ki
hazrat-e-'mast' faqat aaj tumhaare dam se
sohbaten garm raha karti hain maiKHane ki
- Book : Ghazal Usne Chhedi-4 (Pg. 330)
- Publication : Rekhta Kitaben
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.