aarzu maut ka saman hui jati hai
aarzū maut kā sāmān huī jaatī hai
ziist mushkil thī jo āsān huī jaatī hai
maut se merī jo pahchān huī jaatī hai
zindagī aur bhī āsān huī jaatī hai
zauq-e-nazāra se ḳhud jis ne navāzā thā mujhe
vo nazar mujh se ab anjān huī jaatī hai
jab se gulshan meñ sajāyā hai nasheman ham ne
barq kuchh aur pareshān huī jaatī hai
shā.erī is qadar arzāñ hai ba-faiz-e-ġhurbat
har ġhazal hāsil-e-dīvān huī jaatī hai
aarzu maut ka saman hui jati hai
zist mushkil thi jo aasan hui jati hai
maut se meri jo pahchan hui jati hai
zindagi aur bhi aasan hui jati hai
zauq-e-nazara se KHud jis ne nawaza tha mujhe
wo nazar mujh se ab anjaan hui jati hai
jab se gulshan mein sajaya hai nasheman hum ne
barq kuchh aur pareshan hui jati hai
shaeri is qadar arzan hai ba-faiz-e-ghurbat
har ghazal hasil-e-diwan hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.