aarzu meri har ek puri ho ye mumkin kahan
aarzū merī har ik puurī ho ye mumkin kahāñ
aarzū karne pe pābandī nahīñ lekin yahāñ
āsmāñ ke ḳhvāb to har ik zamīñ dekhā kare
baat to tab hai zamīñ ke ḳhvāb dekhe āsmāñ
hai muqaddar kyā sivā.e is ke jo kuchh ho chukā
jo abhī honā hai us kī ḳhud likhoge dāstāñ
gar faroġh-e-zāt se niklo to kuchh hāsil bhī ho
varna āḳhir meñ tumhārī sab tag-o-dau rā.egāñ
maut kyā hai bhuul jaa.e jab har ik insāñ tumheñ
yaad rah jaao agar chāho hayāt-e-jāvidāñ
soch agar jāmid hai to goyā koī tālāb hai
fikr gar āzād hai to zindagī dariyā ravāñ
raaz vo bas raaz hai jo ek hī siine meñ hai
raaz kī ye baat hai tū ḳhud hī apnā rāz-dāñ
dostoñ ke dam se pur-raunaq 'hidāyat' zindagī
dil vagarna jāntā kyā thā ba-juz āh-o-fuġhāñ
aarzu meri har ek puri ho ye mumkin kahan
aarzu karne pe pabandi nahin lekin yahan
aasman ke KHwab to har ek zamin dekha kare
baat to tab hai zamin ke KHwab dekhe aasman
hai muqaddar kya siwae is ke jo kuchh ho chuka
jo abhi hona hai us ki KHud likhoge dastan
gar farogh-e-zat se niklo to kuchh hasil bhi ho
warna aaKHir mein tumhaari sab tag-o-dau raegan
maut kya hai bhul jae jab har ek insan tumhein
yaad rah jao agar chaho hayat-e-jawidan
soch agar jamid hai to goya koi talab hai
fikr gar aazad hai to zindagi dariya rawan
raaz wo bas raaz hai jo ek hi sine mein hai
raaz ki ye baat hai tu KHud hi apna raaz-dan
doston ke dam se pur-raunaq 'hidayat' zindagi
dil wagarna jaanta kya tha ba-juz aah-o-fughan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.