aarzu sulagti hai ho ke mas hawaon se
aarzū sulagtī hai ho ke mas havāoñ se
aag sī barastī hai sāvanī ghaTāoñ se
bebasī-e-ādam kā ġham to ḳhair sab ko hai
kaun bhiik māñgegā rahm ke ḳhudāoñ se
nā-murād jiinā thā nā-murād jiite haiñ
kyā gila kare koī apne āshnāoñ se
gulsitāñ ki zaḳhm-e-dil kahkashāñ ki ashk-e-ġham
jī larazne lagtā hai ab hasīñ fazāoñ se
hādsoñ kī bastī meñ husn bhī pashemāñ hai
vo nazar churāte haiñ aaj ḳhud jafāoñ se
ab na dil zamīnoñ kā aur na āsmānoñ kā
kar rahā hai sargoshī ajnabī ḳhalāoñ se
intizār kā aalam kyā batā.ūñ ai parvāz
chauñk chauñk uThtā huuñ saañs kī sadāoñ se
aarzu sulagti hai ho ke mas hawaon se
aag si barasti hai sawani ghaTaon se
bebasi-e-adam ka gham to KHair sab ko hai
kaun bhik mangega rahm ke KHudaon se
na-murad jina tha na-murad jite hain
kya gila kare koi apne aashnaon se
gulsitan ki zaKHm-e-dil kahkashan ki ashk-e-gham
ji larazne lagta hai ab hasin fazaon se
hadson ki basti mein husn bhi pasheman hai
wo nazar churaate hain aaj KHud jafaon se
ab na dil zaminon ka aur na aasmanon ka
kar raha hai sargoshi ajnabi KHalaon se
intizar ka aalam kya bataun ai parwaz
chaunk chaunk uThta hun sans ki sadaon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.