aarzu tum ho muddaa tum ho
aarzū tum ho mudda.ā tum ho
kyā zabāñ se kahūñ ki kyā tum ho
kyā zarūrat hai aa.ine kī mujhe
merī hastī kā aa.ina tum ho
dil abhī tak nahīñ samajh paayā
ajnabī ho ki āshnā tum ho
sehn-e-gulshan meñ jā ke raaz khulā
chehra-e-gul meñ rūnumā tum ho
chāñd tāroñ shafaq meñ phūloñ meñ
rang ho nuur ho sabā tum ho
mujh ko tūfān-e-ġham kā ḳhauf nahīñ
merī kashtī ke nāḳhudā tum ho
tum se qaa.em hai zindagī 'naġhmī'
dil kī dhaḌkan kī har sadā tum ho
aarzu tum ho muddaa tum ho
kya zaban se kahun ki kya tum ho
kya zarurat hai aaine ki mujhe
meri hasti ka aaina tum ho
dil abhi tak nahin samajh paya
ajnabi ho ki aashna tum ho
sehn-e-gulshan mein ja ke raaz khula
chehra-e-gul mein runuma tum ho
chand taron shafaq mein phulon mein
rang ho nur ho saba tum ho
mujh ko tufan-e-gham ka KHauf nahin
meri kashti ke naKHuda tum ho
tum se qaem hai zindagi 'naghmi'
dil ki dhaDkan ki har sada tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.