aarzuon ka silsila kya hai
ārzūoñ kā silsila kyā hai
be-sabab us ko sochtā kyā hai
garm-joshī na jis meñ shāmil ho
us ta'alluq kā fā.eda kyā hai
kirchiyoñ meñ bikhar chukā huuñ maiñ
ab ilāj-e-ġham-e-vafā kyā hai
jab mohabbat azāb-e-jāñ Thahrī
is se bachne kā rāsta kyā hai
ġham kī parchhā.iyāñ na hoñ ruḳh par
log pūchheñge mājrā kyā hai
qatl karte ho apnī nazroñ se
tum hī batlāo ḳhūñ-bahā kyā hai
bas taqarrub badan kā hai darkār
varna āñkhoñ kā rābta kyā hai
azm-e-mohkam agar ho 'ajmal' phir
apne pairoñ kā aabla kyā hai
aarzuon ka silsila kya hai
be-sabab us ko sochta kya hai
garm-joshi na jis mein shamil ho
us ta'alluq ka faeda kya hai
kirchiyon mein bikhar chuka hun main
ab ilaj-e-gham-e-wafa kya hai
jab mohabbat azab-e-jaan Thahri
is se bachne ka rasta kya hai
gham ki parchhaiyan na hon ruKH par
log puchhenge majra kya hai
qatl karte ho apni nazron se
tum hi batlao KHun-baha kya hai
bas taqarrub badan ka hai darkar
warna aankhon ka rabta kya hai
azm-e-mohkam agar ho 'ajmal' phir
apne pairon ka aabla kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.