aas ke rangin patthar kab tak ghaaron mein luDhkaoge
aas ke rañgīñ patthar kab tak ġhāroñ meñ luḌhkāoge
shaam Dhale in kohsāroñ meñ apnā khoj na pāoge
jāne-pahchāne se chehre apnī samt bulā.eñge
qadam qadam par lekin apne saa.e se Takrāoge
har Tiile kī oT se lākhoñ vahshī āñkheñ chamkeñgī
maazī kī har pagDanDī par nezoñ meñ ghir jāoge
phunkāroñ kā zahr tumhāre gītoñ par jam jā.egā
kab tak apne hoñT mirī jaañ sāñpoñ se dasvāoge
chīḳheñgī bad-mast havā.eñ ūñche ūñche peḌoñ meñ
ruuTh ke jaane vaale patto kab tak vāpas aaoge
jādū-nagrī hai ye pyāre āvāzoñ par dhyān na do
pīchhe muḌ kar dekh liyā to patthar ke ho jāoge
aas ke rangin patthar kab tak ghaaron mein luDhkaoge
sham Dhale in kohsaron mein apna khoj na paoge
jaane-pahchane se chehre apni samt bulaenge
qadam qadam par lekin apne sae se Takraoge
har Tile ki oT se lakhon wahshi aankhen chamkengi
mazi ki har pagDanDi par nezon mein ghir jaoge
phunkaron ka zahr tumhaare giton par jam jaega
kab tak apne honT meri jaan sanpon se daswaoge
chiKHengi bad-mast hawaen unche unche peDon mein
ruTh ke jaane wale patto kab tak wapas aaoge
jadu-nagri hai ye pyare aawazon par dhyan na do
pichhe muD kar dekh liya to patthar ke ho jaoge
- Book : mahvar-volume-12 (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.