aas ke shararon ko jab koi hawa dega
aas ke sharāroñ ko jab koī havā degā
zard zard chehre par surḳhiyāñ sajā degā
hijr kā har ik lamha zindagī ke bātin meñ
vasl ke tasavvur kā lutf hī baḌhā degā
dhund dhund pas-manzar raat kī siyāhī meñ
niiñd jab bhī aa.egī ḳhvāb kī sazā degā
chāñd aa ke baiThegā dil ke narm goshe meñ
hasrateñ baḌhā degā dard sā jagā degā
chhāñv meñ agar Thahrā dil kā qāfila 'ādil'
tishnagī sadā degī zaḳhm muskurā degā
aas ke shararon ko jab koi hawa dega
zard zard chehre par surKHiyan saja dega
hijr ka har ek lamha zindagi ke baatin mein
wasl ke tasawwur ka lutf hi baDha dega
dhund dhund pas-manzar raat ki siyahi mein
nind jab bhi aaegi KHwab ki saza dega
chand aa ke baiThega dil ke narm goshe mein
hasraten baDha dega dard sa jaga dega
chhanw mein agar Thahra dil ka qafila 'adil'
tishnagi sada degi zaKHm muskura dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.