aas ki naw par sawar hue
aas kī naav par savār hue
ġharq-e-dariyā hue na paar hue
daad talvoñ ko dī zamīnoñ ne
phuuT kar aable nisār hue
sar jhukā.e khaḌī hai nauhagarī
dast-e-majrūh ab figār hue
kis kī sauġhāt hai subuk-zehnī
kaisā jangal thā kyā shikār hue
gūñge dariyā meñ mil ga.e aañsū
qahqahe vaj.h-e-iftiḳhār hue
pastiyoñ se nikal ke faḳhr kiyā
auj-dar-auj sharmsār hue
kunj-dar-kunj chuTkiyāñ ubhrīñ
rang hī titliyoñ pe baar hue
dushmanoñ se bachā magar na bachā
dil pe jab dostoñ ke vaar hue
aas ki naw par sawar hue
gharq-e-dariya hue na par hue
dad talwon ko di zaminon ne
phuT kar aable nisar hue
sar jhukae khaDi hai nauhagari
dast-e-majruh ab figar hue
kis ki saughat hai subuk-zehni
kaisa jangal tha kya shikar hue
gunge dariya mein mil gae aansu
qahqahe wajh-e-iftiKHar hue
pastiyon se nikal ke faKHr kiya
auj-dar-auj sharmsar hue
kunj-dar-kunj chuTkiyan ubhrin
rang hi titliyon pe bar hue
dushmanon se bacha magar na bacha
dil pe jab doston ke war hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.