aasan hai ye bahut ki zamane se joD den
āsāñ hai ye bahut ki zamāne se joḌ deñ
jis or chal rahī hai havā ḳhud ko moḌ deñ
buniyād meñ usuul haiñ tā'mīr meñ anā
apne hī ghar ko kaise bhalā toḌ-phoḌ deñ
barsoñ chale haiñ dhuup meñ raftār ke liye
ab aap chāhte haiñ ki raftār chhoḌ deñ
qatra bhī sar uThā.e mohabbat meñ chhūT hai
gar dushmanī nibhā.e samundar nichoḌ deñ
kahne ko dostī hai magar dostī nahīñ
behtar hai aisī bhiiḌ se rishta hī toḌ deñ
aasan hai ye bahut ki zamane se joD den
jis or chal rahi hai hawa KHud ko moD den
buniyaad mein usul hain ta'mir mein ana
apne hi ghar ko kaise bhala toD-phoD den
barson chale hain dhup mein raftar ke liye
ab aap chahte hain ki raftar chhoD den
qatra bhi sar uThae mohabbat mein chhuT hai
gar dushmani nibhae samundar nichoD den
kahne ko dosti hai magar dosti nahin
behtar hai aisi bhiD se rishta hi toD den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.