aasan sare kaam the aghyar ke liye
āsān saare kaam the aġhyār ke liye
ham muntaḳhab hue zarā dushvār ke liye
milnā hai mujh ko us se bas ik baar ke liye
jo muztarib nahīñ tire dīdār ke liye
bantī nahīñ hai baat salīqe se har jagah
lāzim hai kuchh ḳhulūs bhī iz.hār ke liye
yuuñ to har ik maraz kā jahāñ meñ 'ilāj hai
kuchh kārgar nahīñ tire bīmār ke liye
do chaar lafz pyaar ke thoḌī du'ā salām
tohfe ye kam nahīñ kisī tehvār ke liye
har baar jītne meñ tumhārā kamāl thā
kaun ab qusūr-vār hai is haar ke liye
mere 'alāva kaun uThātā ye bār-e-ġham
mamnūn huuñ bahut tire āzār ke liye
aasan sare kaam the aghyar ke liye
hum muntaKHab hue zara dushwar ke liye
milna hai mujh ko us se bas ek bar ke liye
jo muztarib nahin tere didar ke liye
banti nahin hai baat saliqe se har jagah
lazim hai kuchh KHulus bhi izhaar ke liye
yun to har ek maraz ka jahan mein 'ilaj hai
kuchh kargar nahin tere bimar ke liye
do chaar lafz pyar ke thoDi du'a salam
tohfe ye kam nahin kisi tehwar ke liye
har bar jitne mein tumhaara kamal tha
kaun ab qusur-war hai is haar ke liye
mere 'alawa kaun uThata ye bar-e-gham
mamnun hun bahut tere aazar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.