Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasan zindagani ka koi safar nahin

Ajmal Abullais

aasan zindagani ka koi safar nahin

Ajmal Abullais

MORE BYAjmal Abullais

    āsān zindagānī koī safar nahīñ

    manzil hai rāsta hai magar rāhbar nahīñ

    jis ke ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ duniyā se kaT gayā

    us ko mire vajūd koī ḳhabar nahīñ

    rānā.i-e-jamāl hai mauzū-e-guftugū

    hālāt-e-hāzira pe tumhārī nazar nahīñ

    ye raqs-e-tīrgī hai me.arāj-e-zindagī

    mahfūz koī gaañv koī rah-guzar nahīñ

    ye roz-o-shab saarī tag-o-dau fuzūl hai

    gar zindagī ke baab meñ soz-e-jigar nahīñ

    gauhar-shanās bazm se shāyad ki chuke

    kyoñ aaj koī qīmat-e-dast-e-hunar nahīñ

    jis ko har ek shaḳhs nā-mo'tabar lage

    'ajmal' mirī nigāh meñ vo mo'atabar nahīñ

    aasan zindagani ka koi safar nahin

    manzil hai rasta hai magar rahbar nahin

    jis ke KHayal-o-KHwab mein duniya se kaT gaya

    us ko mere wajud ki koi KHabar nahin

    ranai-e-jamal hai mauzu-e-guftugu

    haalat-e-hazira pe tumhaari nazar nahin

    ye raqs-e-tirgi hai ya mearaj-e-zindagi

    mahfuz koi ganw koi rah-guzar nahin

    ye roz-o-shab ki sari tag-o-dau fuzul hai

    gar zindagi ke bab mein soz-e-jigar nahin

    gauhar-shanas bazm se shayad ki ja chuke

    kyon aaj koi qimat-e-dast-e-hunar nahin

    jis ko har ek shaKHs hi na-mo'tabar lage

    'ajmal' meri nigah mein wo mo'atabar nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now