Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aasar zindagi ke numayan hue to hain

Salik Lakhnavi

aasar zindagi ke numayan hue to hain

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    āsār zindagī ke numāyāñ hue to haiñ

    maanā dahān-e-zaḳhm haiñ ḳhandāñ hue to haiñ

    ta.abīreñ dekh dekh ke hairāñ hue to haiñ

    kuchh ḳhvāb-sāz aaj pareshāñ hue to haiñ

    ai dil chalo ki mil ke mudārāt-e-ġham kareñ

    yādoñ ke anjum aaj daraḳhshāñ hue to haiñ

    ab apnī hasratoñ ko basā.eñge ham vahīñ

    kuchh shahr-e-ārzū abhī vīrāñ hue to haiñ

    bajne lageñgī saaz pe zanjīreñ ḳhud-baḳhud

    dīvāne un zulf ke raqsāñ hue to haiñ

    baaqī hai dil par aaj bhī qarz-e-nigāh-e-yār

    dāman hazār baar garebāñ hue to haiñ

    mātam-kade meñ sāz-e-shikasta liye hue

    kuchh ahl-e-dard haiñ jo ġhazal-ḳhvāñ hue to haiñ

    aasar zindagi ke numayan hue to hain

    mana dahan-e-zaKHm hain KHandan hue to hain

    tabiren dekh dekh ke hairan hue to hain

    kuchh KHwab-saz aaj pareshan hue to hain

    ai dil chalo ki mil ke mudaraat-e-gham karen

    yaadon ke anjum aaj daraKHshan hue to hain

    ab apni hasraton ko basaenge hum wahin

    kuchh shahr-e-arzu abhi viran hue to hain

    bajne lagengi saz pe zanjiren KHud-baKHud

    diwane un ki zulf ke raqsan hue to hain

    baqi hai dil par aaj bhi qarz-e-nigah-e-yar

    daman hazar bar gareban hue to hain

    matam-kade mein saz-e-shikasta liye hue

    kuchh ahl-e-dard hain jo ghazal-KHwan hue to hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now