aashiq hue the jo kahin ruswa nahin hun main
aashiq hue the jo kahin ruswa nahin hun main
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
āshiq hue the jo kahīñ rusvā nahīñ huuñ maiñ
maiñ mar gayā huuñ aap pe zinda nahīñ huuñ maiñ
kyā be-ḳhudī meñ ḳhidmat-e-mai-ḳhāna ho sake
pīr-e-muġhāñ se tālib-e-sahbā nahīñ huuñ maiñ
saaqī hañse hai kyā mujhe do-tīn de ke jaam
pī kar ḳhum-e-sharāb hī bahkā nahīñ huuñ maiñ
kyā ghaT ke lāġharī se haqīqat meñ baḌh gayā
nazroñ meñ jo kisī kī samātā nahīñ huuñ maiñ
'ārif' mire kalām ko insāf kar ke dekh
fann-e-suḳhan meñ ham-sar-e-‘saudā’ nahīñ huuñ maiñ
aashiq hue the jo kahin ruswa nahin hun main
main mar gaya hun aap pe zinda nahin hun main
kya be-KHudi mein KHidmat-e-mai-KHana ho sake
pir-e-mughan se talib-e-sahba nahin hun main
saqi hanse hai kya mujhe do-tin de ke jam
pi kar KHum-e-sharab hi bahka nahin hun main
kya ghaT ke laghari se haqiqat mein baDh gaya
nazron mein jo kisi ki samata nahin hun main
'arif' mere kalam ko insaf kar ke dekh
fann-e-suKHan mein ham-sar-e-‘sauda’ nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.