Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aashiq ke liye hijr ka aazar kahan tak

Sayad Humayun Mirza Haqeer

aashiq ke liye hijr ka aazar kahan tak

Sayad Humayun Mirza Haqeer

MORE BYSayad Humayun Mirza Haqeer

    āshiq ke liye hijr āzār kahāñ tak

    dukh sahtā rahe aap bīmār kahāñ tak

    āḳhir ye sitam charḳh-e-jafākār kahāñ tak

    jhele maraz-e-hijr dil-e-zār kahāñ tak

    ho jaa.e lab-e-bām se ab jalva-numā.ī

    baiThā rahūñ āḳhir pas-e-dīvār kahāñ tak

    dekhūñ jo kabhī aao sū-e-gor-e-garībāñ

    uThte haiñ murde dam-e-raftār kahāñ tak

    aatā nahīñ ab koī ayādat ko bhī ai dil

    bahlāte bhalā baiTh ke ġham-ḳhvār kahāñ tak

    sajde ḳhū Dālūñ ki maqbūl ho ḳhidmat

    baiThā rahūñ dar par tire bekār kahāñ tak

    karnā na 'haqīr' ābla-pā.ī shikāyat

    dekho to rah-e-ishq hai dushvār kahāñ tak

    aashiq ke liye hijr ka aazar kahan tak

    dukh sahta rahe aap ka bimar kahan tak

    aaKHir ye sitam charKH-e-jafakar kahan tak

    jhele maraz-e-hijr dil-e-zar kahan tak

    ho jae lab-e-baam se ab jalwa-numai

    baiTha rahun aaKHir pas-e-diwar kahan tak

    dekhun jo kabhi aao su-e-gor-e-gariban

    ji uThte hain murde dam-e-raftar kahan tak

    aata nahin ab koi ayaadat ko bhi ai dil

    bahlate bhala baiTh ke gham-KHwar kahan tak

    sajde hi ki KHu Dalun ki maqbul ho KHidmat

    baiTha rahun dar par tere bekar kahan tak

    karna na 'haqir' aabla-pai ki shikayat

    dekho to rah-e-ishq hai dushwar kahan tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now