aashiqi mein bhala-bura kya hai
aashiqi mein bhala-bura kya hai
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
āshiqī meñ bhalā-burā kyā hai
aa gayā dil to dekhnā kyā hai
vasl kī shab ye shoḳhiyāñ dekho
pūchhte haiñ ki mudda.ā kyā hai
log to kahte haiñ marīz-e-ishq
tum batāo mujhe huā kyā hai
bevafā.ī meñ aap kā shohra
aur hogā abhī huā kyā hai
chashm-e-pur-fan se un kī pūchheñge
ishva kyā chiiz hai adā kyā hai
un se vo vo adā nikaltī hai
jo nahīñ jānte adā kyā hai
mujh se pūchho shab-e-firāq kā haal
jāntā huuñ ki ye balā kyā hai
kyā qayāmat hai un se pūchhtā huuñ
nigah-e-chashm-e-fitna-zā kyā hai
abr uThā.e hai lo piyo ai 'lutf'
mai se tauba tumheñ huā kyā hai
aashiqi mein bhala-bura kya hai
aa gaya dil to dekhna kya hai
wasl ki shab ye shoKHiyan dekho
puchhte hain ki muddaa kya hai
log to kahte hain mariz-e-ishq
tum batao mujhe hua kya hai
bewafai mein aap ka shohra
aur hoga abhi hua kya hai
chashm-e-pur-fan se un ki puchhenge
ishwa kya chiz hai ada kya hai
un se wo wo ada nikalti hai
jo nahin jaante ada kya hai
mujh se puchho shab-e-firaq ka haal
jaanta hun ki ye bala kya hai
kya qayamat hai un se puchhta hun
nigah-e-chashm-e-fitna-za kya hai
abr uThae hai lo piyo ai 'lutf'
mai se tauba tumhein hua kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.