aashiqi sabr talab hai tumhein malum nahin
āshiqī sabr talab hai tumheñ mā'lūm nahīñ
ġham-zada huuñ maiñ magar tum sā to maġhmūm nahīñ
uns ho milnā milānā ho magar ranj na hoñ
jaao mā'lūm tumheñ ishq kā mafhūm nahīñ
detā phirtā hai zamāne ko to ayyām magar
lamha koī bhī mire naam se mausūm nahīñ
chehra chāhat meñ nazar aa.e jo aksar hī tumheñ
vo parī-chehra to ho saktā hai ma.asūm nahīñ
Thag hai duniyā ye le letī hai sabhī maal yahāñ
aur bhī mazlūm haiñ tū pahlā sā mazlūm nahīñ
naqsh chehre ke to badle haiñ mohabbat ne sabhī
hairāñ huuñ dost huā kaise maiñ mādūm nahīñ
aashiqi sabr talab hai tumhein ma'lum nahin
gham-zada hun main magar tum sa to maghmum nahin
uns ho milna milana ho magar ranj na hon
jao ma'lum tumhein ishq ka mafhum nahin
deta phirta hai zamane ko to ayyam magar
lamha koi bhi mere nam se mausum nahin
chehra chahat mein nazar aae jo aksar hi tumhein
wo pari-chehra to ho sakta hai masum nahin
Thag hai duniya ye le leti hai sabhi mal yahan
aur bhi mazlum hain tu pahla sa mazlum nahin
naqsh chehre ke to badle hain mohabbat ne sabhi
hairan hun dost hua kaise main madum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.