aashiqon ki bazm ho aur halqa-e-rindan bhi ho
āshiqoñ kī bazm ho aur halqa-e-rindāñ bhī ho
ma.arifat kā jaam ho aur bāda-e-īmāñ bhī ho
garche andāz-e-bayāñ to ḳhuub hai vaa.iz ke paas
haañ magar raḳht-e-safar meñ bā-amal sāmāñ bhī ho
is dil-e-betāb par kuchh to karam farmā.iye
justujū-e-yār ho aur dard kā darmāñ bhī ho
husn kā parvāna banñe ke liye ye shart hai
ātish-e-furqat meñ jalne kā tirā armāñ bhī hai
sar-zamīn-e-dil kā vaalī bhī to koī ho yahāñ
dil agar hai saltanat to dil kā ik sultāñ bhī ho
har maqām-e-zīst par aql-o-ḳhirad achchhī nahīñ
hosh-mandoñ ke liye 'usmāñ’ dil-e-nādāñ bhī ho
aashiqon ki bazm ho aur halqa-e-rindan bhi ho
marifat ka jam ho aur baada-e-iman bhi ho
garche andaz-e-bayan to KHub hai waiz ke pas
han magar raKHt-e-safar mein ba-amal saman bhi ho
is dil-e-betab par kuchh to karam farmaiye
justuju-e-yar ho aur dard ka darman bhi ho
husn ka parwana banne ke liye ye shart hai
aatish-e-furqat mein jalne ka tera arman bhi hai
sar-zamin-e-dil ka wali bhi to koi ho yahan
dil agar hai saltanat to dil ka ek sultan bhi ho
har maqam-e-zist par aql-o-KHirad achchhi nahin
hosh-mandon ke liye 'usman’ dil-e-nadan bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.