aashiyana mera barbaad na kar ai sayyaad
āshiyāna mirā barbād na kar ai sayyād
baaġh se tū mujhe āzād na kar ai sayyād
qaid tū ne kiyā gulchīñ ne mirā dil toḌā
us pe kahtā hai ki fariyād na kar ai sayyād
phuul kumhlā ga.e naġhmoñ kā zamāna na rahā
pichhlī bātoñ ko to ab yaad na kar ai sayyād
ik na ik roz to gulshan meñ bahār aa.egī
ḳhaak merī abhī barbād na kar ai sayyād
phir ye kahtā huuñ ki maiñ 'shād' huuñ nāshād na huuñ
āshiyāna merā barbād na kar ai sayyād
aashiyana mera barbaad na kar ai sayyaad
bagh se tu mujhe aazad na kar ai sayyaad
qaid tu ne kiya gulchin ne mera dil toDa
us pe kahta hai ki fariyaad na kar ai sayyaad
phul kumhla gae naghmon ka zamana na raha
pichhli baaton ko to ab yaad na kar ai sayyaad
ek na ek roz to gulshan mein bahaar aaegi
KHak meri abhi barbaad na kar ai sayyaad
phir ye kahta hun ki main 'shad' hun nashad na hun
aashiyana mera barbaad na kar ai sayyaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.