aashna hun falak ke haal se main
āshnā huuñ falak ke haal se maiñ
jal rahā huuñ isī malāl se maiñ
jī meñ aatā hai chuum luuñ vo jabīñ
phuul uThā luuñ chamakte thaal se maiñ
kaise jhāḌī se khīñch luuñ chādar
kaise niklūñ tire ḳhayāl se maiñ
bāġhbānoñ se peḌ tang paḌe
aur apnoñ kī dekh-bhāl se maiñ
vo havā thī ki jhaḌ ga.e āḳhir
us ke hāthoñ se phuul Daal se maiñ
aashna hun falak ke haal se main
jal raha hun isi malal se main
ji mein aata hai chum lun wo jabin
phul uTha lun chamakte thaal se main
kaise jhaDi se khinch lun chadar
kaise niklun tere KHayal se main
baghbanon se peD tang paDe
aur apnon ki dekh-bhaal se main
wo hawa thi ki jhaD gae aaKHir
us ke hathon se phul Dal se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.