aashna hun main bhi ranj-o-gham ki har tasir se
aashna hun main bhi ranj-o-gham ki har tasir se
Rahbar Pratapgarhi
MORE BYRahbar Pratapgarhi
āshnā huuñ maiñ bhī ranj-o-ġham kī har tāsīr se
is liye merā bhī rishta hai janāb-e-'mīr' se
saare 'ālam meñ milī hai surḳh-rūī diin ko
jang ham ne jiitī hai aḳhlāq kī shamshīr se
muflis-o-zardār meñ zebā nahīñ hai imtiyāz
har kisī se pesh aanā hai sadā tauqīr se
muskurāhaT hī batā detī hai dil kī kaifiyat
har adā hotī hai raushan bātinī tanvīr se
kartī haiñ masrūr insāñ ko ye tasvīreñ magar
dil sukūñ paatā nahīñ hai mustaqil tasvīr se
kāmyābī chuum letī hai qadam har gaam par
kaam jo karte haiñ 'rahbar' hikmat-o-tadbīr se
aashna hun main bhi ranj-o-gham ki har tasir se
is liye mera bhi rishta hai janab-e-'mir' se
sare 'alam mein mili hai surKH-rui din ko
jang hum ne jiti hai aKHlaq ki shamshir se
muflis-o-zardar mein zeba nahin hai imtiyaz
har kisi se pesh aana hai sada tauqir se
muskurahaT hi bata deti hai dil ki kaifiyat
har ada hoti hai raushan baatini tanwir se
karti hain masrur insan ko ye taswiren magar
dil sukun pata nahin hai mustaqil taswir se
kaamyabi chum leti hai qadam har gam par
kaam jo karte hain 'rahbar' hikmat-o-tadbir se
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 43)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.